Wednesday, 25 May 2011

Aey Iman walo!


Aey Iman walo! gairo ko apna raazdar na banao - woh tumhari burai me kami nahi kartein; unki aarzu hai jitni eija tumhe pahuche; bair unki baaton se jalak utha, aur woh jho sine me chupaye hai; aur bara hai humne nishaniya tumhe khol kar sunadi, agar tumhe aqal ho.

˜˜”*°...•.¸☆ ★ ☆¸.•°*”˜˜”*°•.¸☆
O People who Believe! Do not share your secrets with others - they do all they can to ruin you; they desire the maximum harm for you; enmity has been revealed from their speech, and what they hide in their breasts is greater; we have explained the signs clearly to you, if you have intelligence.

♥ (Al Imran, Surah 3, Ayaah 118 – Tarjama: Kanzool Imaan) ♥

{ TAFSEER:-
Ba’az musalman yahood se karabat wa dosti aur padosi wagaira ta’allukat ki bina par mail-jhol rakhtein hai. Unke haq me ye aayat nazil huwi. Is se pata chala ki kafir se dosti wa muhabbat karna aur unhe apna raazdar banana najaiz wa mamnu’a hai. }

Tuesday, 10 May 2011

What is This?

 This is Justice?










Bukhari :Book 2 : Volume 13 : Hadith 17 Narrated Ibn 'Abbas:

The first Jumua prayer which was offered after a Jumua 

prayer offered at the mosque of Allah's Apostle took place in 

the mosque of the tribe of 'Abdul Qais at Jawathi in Bahrain. 

Al Qurran

Allah said in Surah Ar-Ra'd (Indeed those who lived before them had plotted; but Allah Himself is the Master of all strategies (plots) He knows what everyone does; and soon will the unbelievers realize to whom the future belongs.) (Ar-Ra'd:42)

Islamic Jinazah


Eman


Pillar's of Islam







Thursday, 5 May 2011

MAFHUM E HADEES SHARIF (AAP par nuzool e wahi ka bayan):-

HAZRATE UBADAH BIN SAMIT RADIYALLAHU ANHU bayan kartein hai ki jab NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM par wahi nazil hoti tou AAP apna sar Mubarak juka letein aur AAP ke ASHAB (sahaba) bhi sar juka letein. Jab wahi munqata’a ho jati tou AAP apna SAR E AKDAS utha let...ein.

[Sahih Muslim Sharif, Jild 03, Kitab: 43 – Kitab ul fazail, Page 251, Baab 23-AAP par nuzool e wahi ka bayan, Hadith No. 6015]

AL QUR'AN:-

Aur ALLAH ki rassi mazboot tham lo, sab mil kar aur aapas me phat na jana; aur ALLAH ka ehsan apne upar yaad karo, jab tum me bair (dushmanawat) tha, usne tumhare dilo me milap kar diya, tou uske fazal se tum aapas me bhai ho gaye.

And hold fast to the rope of Allah, all of you together, and do not be divided...; and remember Allah’s favour on you, that when there was enmity between you, He created affection between your hearts, so due to His grace you became like brothers to each other.

(Al Imran, Surah 3, Ayaah 103-1/2 – Tarjama: Kanzool Imaan)

{ TAFSEER:-
HABLILLAH (ALLAH ki rassi) ki tafseer me mufassirin k chand kaul hai ba’az kehte hai us se quran murad hai. Maslan ki HADEES SHARIF me warid huwa ki quran paak HABLILLAH hai jis ne uski itteba’a ki woh hidayat par hai. Jis ne us ko... chora woh gumrahi par.
HAZRATE IBNE MAS’OOD RADIYALLAHU ANHU ne farmaya HABLILLAH se murad jama’at hai aur farmaya ki tum jama’at ko lazim karlo ki woh HABLILLAH hai jisko mazboot tham ne ka hukam diya gaya.

Jaise ki yahood wa nasrani mutafarq ho gaye is aayat me un af’al wa harkat ki mumane’at ki gai jo musalmano k darmyan tafarqe ka sabab ho. TARIQA E MUSLIMIN MAZHAB “AHLE SUNNAT” hai uske siwa koi raah ikhtiyar karna deen me tafareeq wa mamnoo’a hai.

Aur islam ki badolat adawat door hokar aapas me deeni muhabbat paida huwi hatta ki AWAIS aur KHAZRIJ naam k do kabilo me 120 saalo se dushmani thi. Magar AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ka paigam pakar islam le aaye aur aapas me bhai bhai ho gaye. Jiska zika aayat no. 100 (aale imran) ki tafseer me hai. Yahi woh ehsan hai jise ALLAH ne yaad karne ko kaha hai is aayat me.

Is aayat me ye tehkik hai ki agar log yoon samje ki ALLAH ki rassi bas pakar lo sabkuch mil jayega aur kamyab ho jayenge. Saath saath ye bhi yaad rakhe ki ALLAH ka woh ehsan AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM k zariye huwa tou log us rassi k chakkar me NABI ko na bhul jaye is liye isi aayat me us ehsan ka zikr bhi ho gaya. }

Wednesday, 4 May 2011

WHY Christians German Lady convert to ISLAM

Forced Marriages are NOT allowed in Islam - by Shaykh-ul-Islam Dr.Tahir-...

HADEES:


Hazrat Abu Sa’eed Khudri t reported that the Holy Prophet r would read the following dua after he had completed his meal:

اَ لْحَمْدُ للهِ الَّذِىْ اَطْعَمَنَا وَسَقَاناَ وَجَعَلَناَ مِنَ الْمُسْلِمِيْنَ ط
Alhumdu lil laahil Lazee At’amana Wa Saqaana Wa Ja’alana Minal Muslimeen

All Praise is due to Al’laah, who has blessed us with food and drink and made us from amongst the Believers (Muslims) (Abu Dawood Pg.573)

Tuesday, 3 May 2011

AL QUR'AN:-

Aur tum kyon kar kufr karoge? Tum par tou ALLAH ki aayatein parhi jati hai. Aur tum me uska (ALLAH ka) RASOOL tashrif farma hai! aur jisne ALLAH ka sahara liya tou zaroor woh sidhi raah dikhaya gaya.

And how can you disbelieve? ALLAH’s verses are recited to you and His Noble Messenger is present among you! An...d whoever takes the support of ALLAH is indeed guided to the right path.

(Al Imran, Surah 3, Ayaah 101 – Tarjama: Kanzool Imaan)

{ TAFSEER:-
Is se pahele wali aayat no. 100 ki tafseer me zikr hai ki do kabile the jo halate kufr me ek-dusre ke dushman the, magar AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ka paigam pakar dono kabile islam le aaye aur aapas me dost ho gaye.
Aur ye yaho...od ko gawara na tha isliye un dono kabile k logo ko wapas ek-dusre ko ladane ka makar kartein the. Magar ain waqt par AAP ne waha hazri dekar un dono kabile k logo ko aapas me larne se rok diya.
Is par ye aayat nazil huwi ki tumhare bich NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM tashrif farma hai tou tum kyun kar aapas me laro aur wapas halate kufr wali harkat karo?
Is aayat se ye bhi pata chala ki ALLAH k sahare se murad who QURAN wa NABI hai aur woh sahara pakar zaroor woh sidhi raah payega. Ye bhi wasile ki taraf ishara karta hai. }

Monday, 2 May 2011

AL QUR'AN:-


Tum farmao, “aey kitabio (yahood wa nasrani) ALLAH ki aayatein kyun nahi mantey, aur tumhare kaam ALLAH k samney hai.?”

Say (O dear Prophet Mohammed - peace and blessings be upon him), “O People given the Book(s)! Why do you not believe in the verses (or signs) of ALLAH, whereas your deeds are being witnessed... by ALLAH?”

(Al Imran, Surah 3, Ayaah 98 – Tarjama: Kanzool Imaan)

MAFHUM E HADEES SHARIF (AAP k jism ki khushboo)


HAZRATE JABIR BIN SUMRAH RADIYALLAHU ANHU bayan kartein hai ki maine RASOOLALLAH SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM k saath zohar ki namaz parhi, phir AAP apne ghar ki taraf gaye. Me bhi AAP k saath gaya. Samne se kuch bache aaye, AAP ne unme se har ek k rukhsar par haath phaira... aur mere rukhsaar par bhi haath phera. Maine AAP k DAST E AKDAS ki THANDAK aur KHUSHBOO mehsus ki “jaise AAP ne Ittar k dibbe se haath bahar nikala ho” (SUBHANALLAH)

[Sahih Muslim Sharif, Jild 03, Kitab: 43 – Kitab ul fazail, Page 248, Baab 21, Hadith No. 6006]

Tirmizi :1993

Jo Haq Par Rehte Huwe Jhagda Chhod de, Us Ke Liye Jannat 
Mein Ghar Banaaya Jaayega. {Tirmizi :1993}