Tuesday, 3 May 2011

AL QUR'AN:-

Aur tum kyon kar kufr karoge? Tum par tou ALLAH ki aayatein parhi jati hai. Aur tum me uska (ALLAH ka) RASOOL tashrif farma hai! aur jisne ALLAH ka sahara liya tou zaroor woh sidhi raah dikhaya gaya.

And how can you disbelieve? ALLAH’s verses are recited to you and His Noble Messenger is present among you! An...d whoever takes the support of ALLAH is indeed guided to the right path.

(Al Imran, Surah 3, Ayaah 101 – Tarjama: Kanzool Imaan)

{ TAFSEER:-
Is se pahele wali aayat no. 100 ki tafseer me zikr hai ki do kabile the jo halate kufr me ek-dusre ke dushman the, magar AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ka paigam pakar dono kabile islam le aaye aur aapas me dost ho gaye.
Aur ye yaho...od ko gawara na tha isliye un dono kabile k logo ko wapas ek-dusre ko ladane ka makar kartein the. Magar ain waqt par AAP ne waha hazri dekar un dono kabile k logo ko aapas me larne se rok diya.
Is par ye aayat nazil huwi ki tumhare bich NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM tashrif farma hai tou tum kyun kar aapas me laro aur wapas halate kufr wali harkat karo?
Is aayat se ye bhi pata chala ki ALLAH k sahare se murad who QURAN wa NABI hai aur woh sahara pakar zaroor woh sidhi raah payega. Ye bhi wasile ki taraf ishara karta hai. }

No comments:

Post a Comment