HAZRATE JABIR BIN SUMRAH RADIYALLAHU ANHU bayan kartein hai ki maine RASOOLALLAH SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM k saath zohar ki namaz parhi, phir AAP apne ghar ki taraf gaye. Me bhi AAP k saath gaya. Samne se kuch bache aaye, AAP ne unme se har ek k rukhsar par haath phaira... aur mere rukhsaar par bhi haath phera. Maine AAP k DAST E AKDAS ki THANDAK aur KHUSHBOO mehsus ki “jaise AAP ne Ittar k dibbe se haath bahar nikala ho” (SUBHANALLAH)
[Sahih Muslim Sharif, Jild 03, Kitab: 43 – Kitab ul fazail, Page 248, Baab 21, Hadith No. 6006]
No comments:
Post a Comment