Aur ALLAH ki rassi mazboot tham lo, sab mil kar aur aapas me phat na jana; aur ALLAH ka ehsan apne upar yaad karo, jab tum me bair (dushmanawat) tha, usne tumhare dilo me milap kar diya, tou uske fazal se tum aapas me bhai ho gaye.
And hold fast to the rope of Allah, all of you together, and do not be divided...; and remember Allah’s favour on you, that when there was enmity between you, He created affection between your hearts, so due to His grace you became like brothers to each other.
(Al Imran, Surah 3, Ayaah 103-1/2 – Tarjama: Kanzool Imaan)
{ TAFSEER:-
HABLILLAH (ALLAH ki rassi) ki tafseer me mufassirin k chand kaul hai ba’az kehte hai us se quran murad hai. Maslan ki HADEES SHARIF me warid huwa ki quran paak HABLILLAH hai jis ne uski itteba’a ki woh hidayat par hai. Jis ne us ko... chora woh gumrahi par.
HAZRATE IBNE MAS’OOD RADIYALLAHU ANHU ne farmaya HABLILLAH se murad jama’at hai aur farmaya ki tum jama’at ko lazim karlo ki woh HABLILLAH hai jisko mazboot tham ne ka hukam diya gaya.
Jaise ki yahood wa nasrani mutafarq ho gaye is aayat me un af’al wa harkat ki mumane’at ki gai jo musalmano k darmyan tafarqe ka sabab ho. TARIQA E MUSLIMIN MAZHAB “AHLE SUNNAT” hai uske siwa koi raah ikhtiyar karna deen me tafareeq wa mamnoo’a hai.
Aur islam ki badolat adawat door hokar aapas me deeni muhabbat paida huwi hatta ki AWAIS aur KHAZRIJ naam k do kabilo me 120 saalo se dushmani thi. Magar AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ka paigam pakar islam le aaye aur aapas me bhai bhai ho gaye. Jiska zika aayat no. 100 (aale imran) ki tafseer me hai. Yahi woh ehsan hai jise ALLAH ne yaad karne ko kaha hai is aayat me.
Is aayat me ye tehkik hai ki agar log yoon samje ki ALLAH ki rassi bas pakar lo sabkuch mil jayega aur kamyab ho jayenge. Saath saath ye bhi yaad rakhe ki ALLAH ka woh ehsan AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM k zariye huwa tou log us rassi k chakkar me NABI ko na bhul jaye is liye isi aayat me us ehsan ka zikr bhi ho gaya. }

No comments:
Post a Comment